〽
Rasule Khuda (saww):
Yaqeenan, dilo'n ko bhi lohe ki tarah zung (rust) lag jaata hai.
Puchha gaya,
"Ya Rasulallah (saww)! Unhe zung se kaise bachaya jaaye ?"
Aap (saww) ne farmaya, "Maut ki yaad aur Tilawat e Quran se".
Hadiyat ush
Shia, p38
〽
Allah (swt) :
Aur jab tum Quran padhne lago to Shaitan ke waswaso'n se Allah(swt) ki panaah talab kar liya karo. Isme shak nahi ke jo log Momin hai aur apne Rab par bharosa rakhte hain unpar uska qaboo nahi chalta.
(Sure Nahl,
Ayat 98, 99)
〽
Allah (swt) :
Aur jab Quran ki tilawat ki jaaye to khamosh ho kar gaur se suno ke shaayad tum par rehmat naazil ho jaaye.
(Surah Araaf,
Ayat 204)
〽
Allah (swt) :
Aur (Aye Rasul (saww))! Aap is Quran se pehle na koi kitaab padhte the aur na apne haath se kuchh likhte the, warna ye ahl e baatil shak mein padd jaate.
(Surah Ankaboot,
Ayat 48)
〽
Allah (swt)
Beshak jo log Khuda ki Kitaab padha karte hain aur paabandi ke saath Namaz padhte hain aur jo kuch Hum ne unhe ataa kiya hai usme se chhupa-kar aur dikha kar Khuda ki raah mein dete hai wo kabhi na khatm honewale faayde ki ummeed rakhte hain, taaki Khuda(jj) unhe unki mazdoori bharpoor adaa kare, balki Apne fazl o karam se aur badhayega.
Beshak Wo bada bakshne waala aur bada qadr karne waala hai.
(Surah Faatir,
Ayat 29 – 30)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Quran, Allah(swt) ke baad, har shay se afzal hai. Jisne Quran ki izzat ki goya usne Allah(swt) ki izzat ki aur jisne Quran ki izzat na ki goya usne Allah(swt) ki tauheen ki.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p27)
〽
Imam Sadiq (as):
Quran Allah(swt) ki taraf se uski makhlooq ke liye Ahad (waada) hai. Ek musalman ko chahiye ke wo apne Ahad par nazar kare aur rozana uski 50 Aayat ki tilawat kare.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p31)
〽
Imam Ali (as):
Bachche ka maa-baap par ye haq hai ke uska achcha naam rakhein, achchi tarbiyat karein aur Quran padhaayein.
(Aasmani Nasihatein,
v2, p123)
〽
Imam Ali (as):
Beshak, tum apne mu'nh se Quran padha karte ho. Pus, apne mu'nh ko miswaak se paak o pakiza karo.
(Aasmani Nasihatein,
v2, p178)
〽
Imam Sadiq (as)
se Ishaaq bin Ammar ne sawaal kiya ke main Quran ka Haafiz hoon (I have Memomrized Whole Quran),
kya zabaani padhta rahoo'n (recite by memory) ya dekh kar padhoo'n?
Aap (as( ne farmaya, "Nahi.
Quran par dekh kar tilawat kiya karo.
Kya tum nahi jaante ke Quran par nazar karna bhi Ibadat hai ?"
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p31)
〽
Imam Sadiq (as):
Quran ko dekh-kar padhna Waaledain ke azaab mein takhfeef (relaxation) karta hai agar-che wo kaafir ho’n.
(Al Kaafi, v5, p284)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Jab koi Quran e Majeed padhta hai to uske mu'nh se nikle huwe har harf (akshar / letter) ke badle mein Allah ek ek Farishta paida karta hai jo Qayamat tak uske liye Tasbeeh karta rehta hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p34)
〽
Imam Sadiq (as):
Quran e Majeed ko jald baazi se nahi balke Tarteel ke saath (with intonation / Lai ke saath) padhna chahiye. Jab aisi Ayat se guzro ke jisme Jannat ka tazkera ho to wahaa'n ruk jao aur bargaah e Ehdiyat mein Jannat ka sawaal karo aur jab aisi Ayat se guzro ke jisme Dozakh ka zikr ho to wahaa'n Dozakh se najaat haasil karne ki Dua maango.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p34)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Quran ko khubsurat aawaz se muzayyan (beautify) karo kyun ki achchi awaaz Quran e Majeed ke husn ko do-baala karti hai.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p35)
〽
Imam Sadiq (as):
Quran e Majeed ko tezi aur sar'at (speed) ke saath Na padho…
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p76)
〽
Imam Sadiq (as):
Tarteel ke maani hai ke poori wazaahat ke saath bayaan karo, na to ash'aar ki tarah jaldi aur ek ke baad digar padho aur na hi reyt ke zarraat ki tarah usko bikheyr do; lekin is tarah padho ke is se sakht aur sangeen dilo'n ko narm kar de aur unhe bedaar kar de aur hargiz tumhara maqsad ye na ho ke tum laazmi aur hatmi taur par aakhri Surah tak pahu'ncho aur usay khatm kar ke raho.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p76)
〽
Rasule Khuda
(saww)
...Momin jab Quran padhta hai to Allah(swt) uspar nazre Rehmat farmata hai aur Har Ayat ke badle mein usay 1000 Hoor ataa farmata hai aur Har Har harf ke badle mein uske liye Siraat par Noor hota hai…
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p33)
〽
Imam Sadiq (as):
…Quran e Kareem mein jab Jannat ka zikr padho to ruk jao aur Allah Ta'ala se uski Dua karo.
Aur jab Jahannum ka zikr padho to ruk jao aur Allah(swt) se uski panaah maango.
(Aqwaal e
Masoomeen (as),
p143)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Quran e Majeed ki tilawat zaroor kiya karo kyun ki ye gunaho'n ka kaffara, Jahannum ki dhhaal aur azaab ke liye amaan hai.
Padhne waale ke liye har aayat ke badle mein 100 Shaheed ka sawaab hai.
Har Surah ke badle mein usay Nabi e Mursal ka sawaab milta hai.
Padhne wale par Allah(swt) ki rehmat naazil hoti hai aur Malaika uske liye Astagfaar karte hain. Jannat uske liye mushtaaq aur Allah (swt)oos se khush hota hai…
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p33)
〽
Rasule Khuda
(saww):
...Jab Momin Quran e Majid khatm karta hai to usay 313 aise Nabiyo'n ka sawaab milta hai jinhone Allah(swt) ke ahkaam ki tableegh ki aur is tarah hai jaise usne tamaam guzishta Ambiya (as) ki kitaabo'n ki tilawat ki. Allah(swt) uske jism par Jahannum ko haraam karta hai. Wo apni jagah se abhi harkat nahi karta ke Allah(swt) uske aur uske waaledain ke gunah maaf kar deta hai aur Quran ke har Surah ke muqable mein Jannatul Firdous mein usko Ek Sheher ataa hota hai..aur har Shaher mein ek ek hazaar mahel jo ek ek laakh kamro'n par mushtamil (shaamil) hai aur har kamra ek laakh bait par mushtamil hai…
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p33)
〽
Imam Sadiq (as):
Momin ko chahiye ke marne se pehle Quran ki taalim haasil kar le ya agar usay maut aaye to wo Qurani taalim haasil kar raha ho.
(Meezan ul Hikmah,
v8, p126)
〽
Imam Sadiq (as):
Momin ko chahiye ke jab uspar maut aaye to wo Quran e Majeed ki taalim haasil kar chuka ho ya padhne mein masroof ho.
(Tafseer Noor us
Saqlain, v9, p27)
〽
Imam Sadiq (as):
Hamare mohibbo'n aur Shiyo'n mein se koi mar jaaye aur wo achchi tarah Quran padhna NA jaanta ho to Qabr mein usay Quran ki taalim di jaati hai taaki Khuda usko buland darajaat ataa kare. Jaan lo ke Behisht (Jannat) ke darajaat Qurani aayaat ki taadaad ke barabar hain. Wahaa'n Qaari e Quran (Quran padhne waale) se kaha jaata hai 'Quran padho aur agle darje mein jao'.
(Sawaabul Aamaal o
Iqaabul Aaamal,
p277)
〽
Imam Sadiq (as):
Har cheez ka ek qalb (dil / heart) hota hai aur Qalb e Quran Yaseen hai.
Jo sone se pehle ya din ke kisi hisse mein iski tilawat karega to oos din mehfooz rahega
aur
Khuda (jj)se Rozi payega
aur
jo raat ko sone se pehlle iski tilawat karega to Khuda Wande Mut'aal 70000 Farishto'n ki duty lagayega ke Shaitan ke shar se aur har aafat se uski hifazat ki jaaye.
Agar agle din mar jaaye to to khuda(jj) usay Behisht mein daakhil karega
aur
30000 Farishte Gusl dete waqt wahaa'n maujood honge aur uske liye Astagfaar karenge
aur
Dua e Maghferat ke saath Qabr tak tashiyye janaza mein shareek honge
aur
jab usay Qabr mein daakhil kiya jayega to pehle Farishte Qabr mein daakhil hokar Ibadat karenge
aur
is Ibadat ka sawaab uske liye hoga
aur
ta hadd e nigaah (as far as the eyes can see) uski Qabr ko wus'at ataa farmayega
aur
wo fishaar e Qabr se aman mein rahega
aur
uski Qabr se lekar aasman tak darakshaa'n noor oos waqt tak baaqi rahega jab tak Khuda(jj) usay Qabr se nikaal nahi leta.
Aur
jab usay Qabr se nikaalein to uske saath Farishte guftagu karenge, uska chehra khush-haal hoga
aur
wo usay har maqaam par khair sunayenge yahaa'n tak ke Puul e Siraat aur Mizaan ko paar karega aur usko Khuda(jj) ke itna nazdeek le jaayenge ke muqarrab Farishto'n
aur
Mursal Ambiya ke alawa koi Khuda (jj)ke itna nazdeek na hoga.
Wo Paighambaro'n ki hamraahi mein bargaah e Khuda Wandi mein khada hoga jab ke doosre log ghamgeen aur pareshaan aur be-taab honge.
Usay koi gham, pareshaani aur mushkil na hogi.
Oos waqt Khuda Wande Mut'aal usay farmayega,
"Tu jiski chahe Shafa'at kar, Main teri Shafa'at qubool karunga aur maang jo maangna chahta hai tujhe ataa karunga".
Wo jo chahega usay milega aur jiski Shafa'at karega qubool hogi halaa'nki baaz logo'n ka muhaaseba (hisaab) ho raha hoga, unhe roka gaya hoga, wo zaleel ho rahe honge magar uske liye koi hisaab kitaab nahi hoga, koi nahi rokega aur uske liye kisi qism ki zillat na hogi, apne kisi bhi galat kaam par bad-bakhti ka saamna nahi karega aur naama e aamaal khol kar usay diya jayega aur jab aur jab Khuda ki bargaah se niche aayega to log usay dekh kar Subhanallah ka wird karte huwe kahenge,
"Is Abd e Khuda ki koi khata na thi aur usay H. Muhammad (saww) ki rafaaqat (sohbat / companionship) naseeb huwi hai".
(Sawaabul Aamaal o
Iqaabul Aaamal,
p237)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Ya Ali(as) !
Tumhari misaal meri ummat mein Surah Ikhlaas jaisi hai. Is Surah ko jisne ek martaba padha ek tihaai (one third) Quran ka sawaab milta hai, 2 dafaa padhe to 2 tihaai (two third) ka sawaab aur agar 3 dafaa padhe to poore Quran padhne ka sawaab milta hai. Tumse jo sirf zabaan se mohabbat rakhe uska ek tihaai (one third) Imaan mukammal, jo zabaan aur haath se saath de uska 2 tihaai (two third) Imaan mukammal aur agar zabaan se, haath se aur dil se mohabbat rakhe to poora Imaan mukammal ho jaayega.
(Aqwaal e
Masoomeen (as),
p129)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Jo banda Quran padhta hai wo faqeer nahi hota.
Quran ke alaawa koi sarwat (daulat) nahi hai.
(Hadiyat ush Shia,
p29)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Tum mein se behtareen shakhs wo hai jisne Quran padha aur doosro'n ko padhaya.
(Hadiyat ush Shia,
p40)
〽
Imam Sadiq (as):
Jab ek Musalman ghar mein Quran ki tilawat karta hai, to asmaan waalo'n ko wo ghar aise dikhta hai jaise zameen pe rehne waalo'n ko asmaan ke chamakte sitare.
(Uddatud Dai)
〽
Rasule Khuda
(saww):
Dua maangne waale ka aur Aamin kehne waale ka; Quran padhne waale ka aur Quran sun'ne waale ka; Aalim ka aur Taalib e Ilm ka, Sawaab barabar (equal) hai.
(Nahjul Fasaha)
No comments:
Post a Comment