Salam...
Me kya batau aapko kya kya Hasan ka he
Qaba mere hasan ka madina hasan ka he
Ibne ali ki aaj wiladat ki raat he
Mehfil me aagya Jo deewana Hasan ka he
Rehmat baras rahi he yaha par husainiyo
Aao ke aaj jashn manana Hasan ka he
Mehfil zami se le ke sajai he arsh taq
Dono jaha me ho raha charcha Hasan ka he
Roti inhi ke ghar ki hi jati he khuld me
Jannat he rab ki usme khazana Hasan ka he
Sulha se kar ke sare aduo ke sar qalam
Be teg zalimo ko harana Hasan ka he
Qasim ko dekh kar yahi bole laine shaam
Bhago ke ran me aagya beta Hasan ka he
Rouza baki me isliye mismaar kar diya
Dushman ke dil me har ghadi khatra hasan ka he
Veeran kar diya he bakayya to kya huwa
Har ik bashar ke qalb me rouza Hasan ka he
Sab kuch isi ke sadke me milta he aaj bhi
Ahsan kayenaat pe kitna Hasan ka he
"Rizwan"in ke pass se Jo mangna he mang
Mil kar rahega tujko ye wada Hasan ka he

No comments:
Post a Comment